Thursday, June 25, 2009

Rail ki do pattrian


Kal maine rail se safar karte huey dekhi
rail ki do pattrian ,
ek iss taraf aur doosri uss taraf,
aur kuch kuch doori par,
ateet ki yaadon aur raazon
se judi huee,
magar phir bhi door door,
ek doosre se alag alag,
chhote chhote pathron se
dono aur se dabi huee,
aur ooper se,
din bhar tez raftaar bhari bharkam
gaadian guzarti huee,
Ye do rail ki pattrian,
yahaan se vahaan tak,
jaane kahan se kahaan tak,
ye bhi pata nahin ki ,
yahin ruki hain ya
kahin jaa rahi hain.
Jaane ek doosre se
baat bhi karti hain ke nahin....
koi kuch kahe bhi to
gaadion ke pahiyon ke
shore o gul mein hi
dab kar reh jaati hongi
dil ki baaten.
Aur kabhi kabhi,
koi teesri patri aa kar
kabhi iss patri se to
kabhi uss patri se mil jaati hai,
shayad usse apne saathi se
juda karne ki koshish main..
phir laachar ho kar kuch der baad
khud hi saath chhod jaati hain,
aur reh jaati hain vahi
rail ki do pattrian..

Par ek baat dekh raha hoon,
ke rail ki ye do pattrian
hain dono saath saath.
Saath saath.
lagta hai vahaan door ja kar

dono pattrian mil rahi hain,

Dekh bhi raha hoon,
aur jaanta bhi hoon ke,
ye do rail ki pattrian
kabhi mil nahin paengi......

Tum bhi kabhi
Rail se safar karo to
Mehsoos karma,
Hum tum bhi to
Rail ki in do pattriaon
ki tarah hi to hain,
main iss taraf aur tum
uss taraf ,
ek doosre se alag alag,
beech beech mein
ek doosre ke ateet ke
raazon se jude huey,
beetey dino ki yaaden,
bhavishya ki chintaaon
ke pathron se dabbe huey..
aur uooper se vartmaan ke

apne apne kartavyon ke
bhoj talle dabe hue,
hum tum bhi kahan mil paate hain..
tum bhi kahan baat karti ho mujh se
main bhi kahan kehta hun kuch tumse se ,
kabhi bhoole bhatke
koi kuch kahe bhi to,
dunia ke shore o gul mein hi
dab kar reh jaati hain.
Dil ki baatein

Hum bhi to chal rahe hain
yahaan se vahaan tak,
jaane kahaan se kahaan tak…

Aur yeh bhi mehsoos karma ke
kabhi koi kabhi koi

kabhi mujhse, kabhi tumse

aa kar mil jaata hai,
hummen ek doosre se
juda karne ke liye..
Aur lachaar ho kar
khud hi saath chhod jaata hai..
aur reh jaate hain
hum dono
hum bhi kehne ko chal rahe hain
saath saath,

lagta hai vahaan door ja kar,

hum dono bhi mil jayenge,
par jaanti hun ke

mil nahin paaenge…..
hum bhi to hain in rail ki do pattrion ki tarah....…